bujh ga.e sho.ale dhuāñ āñkhoñ ko paanī de gayā
ye achānak moḌ dariyā ko ravānī de gayā
ab to us kī dhuup meñ jaltā hai merā tan-badan
kyā huā vo mehr jo sub.heñ suhānī de gayā
jī meñ zinda ho ga.iiñ kyā ḳhvāhisheñ bisrī huī
phir koī yūsuf zuleḳhā ko javānī de gayā
phir huā ehsās yuuñ mujh ko ki maiñ ik naqsh huuñ
kaun tasvīroñ ko hukm-e-be-zabānī de gayā
peḌ nañge ho ga.e rastoñ pe patte haiñ abhī
haañ magar tūfān kuchh yādeñ nishānī de gayā
maiñ subuk-sar thā havāoñ kī tarah par ab nahīñ
yak-ba-yak ruknā tabī.at ko girānī de gayā
boltā chehra jhukī āñkheñ chhupā mat haath se
terā chup rahnā mujhe kyā kyā ma.ānī de gayā
jaise mere pair mauj-e-vāpsīñ par jam ga.e
har nayā lamha koī sūrat purānī de gayā
ai lab-e-goyā na chhin jaa.e kahīñ ye zā.iqa
chāTiye vo zaḳhm jo sho.ala-bayānī de gayā
maiñ ne 'shāhid' aa.ine meñ apnī sūrat dekh lī
ye zarā sā vāqi.a puurī kahānī de gayā