tarz-e-iz.hār meñ koī to nayā-pan hotā
dard rañgīn badan shīshe kā bartan hotā
kis liye roz badaltā huuñ maiñ malbūs nayā
aisā kachchā to na us naqsh kā roġhan hotā
pair kamre se nikāle to maiñ bāzār meñ thā
hai ye hasrat ki mire ghar kā bhī āñgan hotā
aañch mil jaatī jo kuchh aur to jauhar khulte
tum jise raakh samajhte ho vo kundan hotā
kuchh zamīñ kī hai ye tāsīr ki chehre haiñ hasīñ
shahr gar shahr na hotā koī gulshan hotā
maiñ bhaTaktā na kabhī raat kī tārīkī meñ
aise sunsān meñ ghar thā to vo raushan hotā