manzar mirī āñkhoñ meñ rahe dasht-e-safar ke
kuchh ret ke Tiile dar-o-dīvār haiñ ghar ke
lahroñ pe mire paañv jame haiñ ki safar meñ
hai shart Thaharnā ki zamīñ paañv se sar ke
tā-umr rahe jis ke liye zarra-e-na-chīz
dekhe vo kabhī kaash bulandī se utar ke
paanī ke ka.ī rañg dhanak meñ haiñ ki tū hai
tasvīr meñ aa.ī hai tirī shakl nikhar ke
dariyā kī tarah arsa-e-gul meñ hai ravāñ kyā
bādal kī tarah dekh havāoñ meñ Thahar ke
patte the kabhī sarsar-e-tūfān meñ TuuTe
taa.ir haiñ ki uḌ jaa.eñ mirī chaap se Dar ke
Duube haiñ vo yuuñ sab ke samundar meñ ki ġham haiñ
sūraj kī chamak aañkh meñ laa.e the jo bhar ke
hasrat hai ki dekhūñ maiñ ubhartā huā sūraj
kis kohar meñ Duube haiñ dar-o-bām sahar ke