Saleem Shahid

ghar ke darwaze khule hon chor ka khaTka na ho

Saleem Shahid

ghar ke darvāze khule hoñ chor kā khaTkā na ho
be-sar-o-sāmān koī shahr meñ aisā na ho
tīrgī ke ġhaar se bāhar nikal kar bhī to dekh
us zamīñ kī kokh se sūraj koī niklā na ho
maiñ ki goyā bhī na ho paayā kisī dīvār se
rah gayā chup soch kar shāyad koī suntā na ho
dasht meñ jaane se pahle apne dil meñ jhāñk lo
ḳhūb-sūrat jism ke andar koī koī sahrā na ho
ehtiyātan dekh hī lo dam-ba-ḳhud kyuuñ rah ga.e
tum jise dīvār samjhe ho vo darvāza na ho
maiñ ki duniyā kī har ik shai meñ huā huuñ āshkār
dekh tere aa.ine meñ bhī mirā chehra na ho
moḌ haiñ har har qadam par kis se pūchheñ rāsta
phir rahā huuñ shahr meñ jaise koī dīvāna ho
ye akelā-pan to 'shāhid' shahr kā āshob hai
yā koī tanhā na ho yā har jagah vīrāna ho
Top Urdushayar.com