Saleem Shahid

suraj zamin ki kokh se bahar bhi aaega

Saleem Shahid

sūraj zamīñ kī kokh se bāhar bhī aa.egā
huuñ muntazir ki sub.h kā manzar bhī aa.egā
miTTī kā jism le ke chale ho to soch lo
is rāste meñ ek samundar bhī aa.egā
har lahza us ke paañv kī aahaT pe kaan rakh
darvāze tak jo aayā hai andar bhī aa.egā
kab tak yūñhī zamīn se lipTe raheñ qadam
ye zo.am hai ki koī palaT kar bhī aa.egā
dekhā na thā kabhī mirī āñkhoñ ne ā.īna
ehsās bhī na thā ki mujhe Dar bhī aa.egā
patthar ke saath bāñdh ke dariyā meñ Dāliye
varna ye jism Duub ke uupar bhī aa.egā
'shāhid' bajā ye zo.am ki gauhar-shanās ho
ye soch lo ki haath meñ patthar bhī aa.egā
Top Urdushayar.com