vo ḳhuuñ bahā ki shahr kā sadqa utar gayā
ab mutma.in haiñ log ki dariyā utar gayā
phir jama.a kar rahā huuñ par-e-kāh-e-sarguzisht
hairān huuñ ki zehn se kyā kyā utar gayā
aaseb rāste meñ shajar roz-o-shab ke the
jañgal ke paar maiñ tan-e-tanhā utar gayā
ġharqāb hauke sīkhī hai gauhar-shanāvarī
patthar na thā ki paanī meñ gahrā utar gayā
mujh ko to be-maza lagā paanī kā zā.iqa
vo kaun thā jo dasht meñ pyāsā utar gayā
haañ haar maan lī tirī yādoñ ke rū-ba-rū
is baar kufr-e-sañg meñ tesha utar gayā
le aa.iiñ kis farāz pe lafzoñ kī sīḌhiyāñ
kāġhaz pe hū-ba-hū vo sarāpā utar gayā
aahaT ilaaj hai dil-e-vahshat-pasand kā
rakhā namak zabāñ pe ki nashsha utar gayā
'shāhid' talāsh-e-rizq hai taa.ir kī justujū
paanī mujhe jahāñ nazar aayā utar gayā