zamīñ ko sajda kiyā ḳhuuñ se bā-vazū ho kar
maiñ razm-gāh se lauTā huuñ suraḳh-rū ho kar
jahāñ meñ phail ga.ī dūd-e-sho.ala se zulmat
falak pe bah gayā sūraj lahū lahū ho kar
mujhe thā dām-e-asīrī nasheb dariyā kā
uchhal gayā maiñ kināroñ se tund-ḳhū ho kar
gurez-pā.ī ko hai gumrahī kā dasht-e-balā
ḳhat-e-safar to chamaktā hai āb-jū ho kar
vo lams zā.iqa jis ne mirī zabāñ ko diyā
bikhar na jaa.e kahīñ saut-e-guftugū ho kar
kiyā hai pursish-e-ahvāl-e-zaḳhm ne rusvā
ye chaak aur numāyāñ huā rafū ho kar
rahī na TuuT ke girne se merī yaktā.ī
maiñ paash paash huā ḳhud se dū-ba-dū ho kar
zabān-e-ḳhalq pe shāhid maiñ harf-e-talḳh rahā
uḌī na ḳhaak mirī gard-e-ābrū ho kar