huuñ maiñ bhī vahī merā muqābil bhī vahī hai
patthar bhī vahī ā.īna-e-dil bhī vahī hai
majbūr huuñ maiñ āb-o-havā hai mirī muḳhtār
jo lāla-o-gul kī hai mirī gul bhī vahī hai
jaise vo kisī ā.ina-ḳhāna meñ makīñ ho
paikar bhī vahī aks vahī zil bhī vahī hai
ye ḳhvāb kā aalam hai ki lamhāt haiñ sākit
maiñ ab bhī vahīñ baiThā huuñ mahfil bhī vahī hai
kis fikr meñ ho ghar kī taraf lauT bhī jaao
jo nuqta-e-āġhāz hai manzil bhī vahī hai
jis ne mujhe parvāz ye āmāda kiyā thā
kyā kiije ki ab raah meñ haa.il bhī vahī hai
'shāhid' haiñ abhī kohar ke bādal jo kabhī the
aur barf kī siine pe abhī sil bhī vahī hai