sub.h-e-safar kā raaz kisī par yahāñ na khol
tūfāñ hai pāniyoñ meñ abhī bādbāñ na khol
pasmāñdgāñ pe chhoḌ ki DhūñDeñ nuqūsh-e-pā
jo sañg-o-ḳhisht haiñ tah-e-āb-e-ravāñ na khol
maiñ ne sarāb-e-fahm ke sab raaz pā liye
ab laakh mujh pe uqda-e-haft-āsmāñ na khol
sab kuchh yahāñ hai chashm-e-ḳharīdār kī pasand
uzr-e-matā-e-dard agar hai dukāñ na khol
shāḳh-e-shajar pe sho.ala-e-ḳhurshīd bujh to le
kuchh der tīrgī pe dar-e-ḳhāk-dāñ na khol
har bazm kyuuñ numā.ish-e-zaḳhm-e-hunar bane
har bhed apne dostoñ ke darmiyāñ na khol
'shāhid' hisār-e-jail pe teshe se vaar kar
in pattharoñ ke rū-ba-rū apnī zabāñ na khol