mere ehsās kī rag rag meñ samāne vaale
ab kahāñ haiñ mujhe din-rāt satāne vaale
dekh lete haiñ magar aañkh churā jaate haiñ
dost har vaqt mujhe paas biThāne vaale
band paanī kī tarah bekas-o-majbūr haiñ ab
tund maujoñ kī tarah shor machāne vaale
ek patthar bhī sar-e-rāhguzar rakkhā hai
raat gahrī hai zarā dhyān se jaane vaale
kaun bujhte hue sūraj kī taraf dekhegā
haiñ ujāloñ ke talabgār zamāne vaale
haar ke baiTh ga.e dhuup kī āġhosh meñ ḳhud
sard rātoñ meñ mirā jism jalāne vaale
gir ga.e ret kī dīvār ho jaise 'shāhid'
ban ke kohsār mirī raah meñ aane vaale