raushan sukūt sab usī sho.ala-bayāñ se hai
is ḳhāmushī meñ dil kī tavaqqo zabāñ se hai
ḳhāshāk haiñ vo barg jo TuuTe shajar se hoñ
ham se musāfiroñ kā bharam kārvāñ se hai
ehsās-e-gumrahī se masāfat hai jī kā rog
ab ke thakan mujhe safar-e-rā.egāñ se hai
yā aa ke ruk ga.ī hai ḳhat-e-tīrgī pe aañkh
hai raushnī to TuuTī huī darmiyāñ se hai
jab tak lahū safar meñ hai maiñ rāste meñ huuñ
kashtī havā ke saath khule bādbāñ se hai
hai har barahnagī kā labāda par-e-badan
is ḳhāk-dāñ kā husn zamān-o-makāñ se hai
sahrā-e-be-kanār hī toḌe havā kā zor
ḳhvāhish ko ḳhaar ab ke dil-e-saḳht-jāñ se hai
har-chand maiñ bhī naqsh-gar-e-ahd-e-hāl huuñ
tasvīr ḳhāk-e-rahguzar-e-raftagāñ se hai