Saleem Shahid

be-waza shab-o-roz ki taswir dikha kar

Saleem Shahid

be-vaz.a shab-o-roz kī tasvīr dikhā kar
ab daad na māñgo mujhe zanjīr dikhā kar
kaisī haiñ kaf-e-lauh pe be-rabt lakīreñ
ma.anī na chhupāo mujhe tahrīr dikhā kar
ai shīsha-e-jāñ tujh meñ lahū ḳhatm bhī hogā
ye nashsha utar jā.egā tāsīr dikhā kar
maiñ sham-e-shab-zulm huuñ āġhāz-e-sahar tak
dil bujhne lagā sub.h kī tanvīr dikhā kar
kis shāḳh pe hai harf-e-gul-e-surḳh dikhāo
qaa.il bhī karo lafz kī tafsīr dikhā kar
yuuñ sehr-e-kashish ne kiyā e.ajāz kā munkir
dīvār-e-havā par mujhe shahtīr dikhā kar
hai koh-kanī bār-e-amānat abhī sar par
mat rok mujhe tesha-o-taqdīr dikhā kar
kahte ho ki ḳhvāhish kā samar tursh hai 'shāhid'
āñkhoñ ko ġhalat ḳhvāb kī ta.abīr dikhā kar
Top Urdushayar.com