Saleem Shahid

mat puchh harf-e-dard ki tafsir kuchh bhi ho

Saleem Shahid

mat pūchh harf-e-dard kī tafsīr kuchh bhī ho
vo ḳhvāb lā-javāb thā ta.abīr kuchh bhī ho
har naqsh ko miTā ke guzartī rahī havā
lauh-e-jahāñ pe vaqt kī tahrīr kuchh bhī ho
behtar nahīñ ki tujh ko mile kāġhzī libās
rañgoñ kā imtizāj hai tasvīr kuchh bhī ho
jab hukm ho gayā hai ki nāla-ba-lab raheñ
phir vahm kyā hai zahr kī tāsīr kuchh bhī ho
mere liye zamīñ kā tasavvur hai āsmāñ
pāband huuñ havāoñ kā taqdīr kuchh bhī ho
maslak yahī thā shahr kī buniyād rakh chale
is se ġharaz nahīñ hai ki ta.amīr kuchh bhī ho
chhāyā huā hai arz-o-samā par mirā shu.ūr
'shāhid' kareñge zehn kī tasḳhīr kuchh bhī ho
Top Urdushayar.com