rāsta chāhiye dariyā kī farāvānī ko
hai agar zo.am to le rok le tuġhyānī ko
aa.ina TuuT gayā shakl ke zarre bikhre
kyā chhupātā hai ab is dasht kī vīrānī ko
āb-yārī jo huī hai to shajar bhī hoñge
tū ne samjhā thā ġhalat ḳhuun kī arzānī ko
le ye tūfāñ tirī dahlīz tak aa pahuñchā hai
barf samjhā thā usī Thahre hue paanī ko
suraḳh-rū huuñ ki maiñ is aag se kundan niklā
sho.ala-e-ḳhūñ ne ujālā mirī peshānī ko
maiñ utar aayā huuñ us paar jahāñ maut nahīñ
mil gayā jism-numā ruuh kī uryānī ko
vāqi.a aam huā dhuup kī kirnoñ kī tarah
dekh le haath lagā kar mirī tābānī ko
phir na.ī fasl kā mausam hai duā kar 'shāhid'
abr sairāb kare ḳhitta-e-bārānī ko