Saleem Shahid

zulmat hai to phir shoala-e-shab-gir nikalo

Saleem Shahid

zulmat hai to phir sho.ala-e-shab-gīr nikālo
ḳhurshīd koī shab kā jigar chiir nikālo
kaTtā hai kabhī nāḳhun-e-añgusht se kohsār
patthar na kuredo koī tadbīr nikālo
maiñ gul huuñ mujhe shāḳh pe khilnā hai ba-har-taur
tum ḳhaak se gul-ḳhezī kī tāsīr nikālo
tum roġhan-e-ḳhūñ burrish-e-shamshīr se bhar kar
jo chāho mire jism se tasvīr nikālo
jo zehn meñ thā ḳhvāb meñ dekhā hai vahī kuchh
jo chāho ab is ḳhvāb kī ta.abīr nikālo
ye shahr-e-shikasta hai na.e shahr kī buniyād
ik taaza dar-o-bām kī ta.amīr nikālo
aurāq-e-shab-e-rafta siyah hoñge magar tum
is baab se ye surḳhi-e-tahrīr nikālo
Top Urdushayar.com