Saleem Shahid

KHwahish ko apne dard ke andar sameT le

Saleem Shahid

ḳhvāhish ko apne dard ke andar sameT le
pardāz bār-e-dosh hai tū par sameT le
apnī talab ko ġhair kī dahlīz par na Daal
vo haath khiñch gayā hai tū chādar sameT le
surḳhī tulū-e-sub.h kī lauh-e-ufuq pe likh
saare badan kā ḳhuun jabīñ par sameT le
yakjā nahīñ kitāb-e-hunar ke varaq hanūz
ayyām-e-harf-harf kā daftar sameT le
jo peḌ hil chuke haiñ unheñ āñdhiyoñ pe chhoḌ
shāyad havā ye raah ke patthar sameT le
zinda lahū to shahr kī galiyoñ meñ hai ravāñ
'shāhid' ragoñ meñ kaun ye mahshar sameT le
Top Urdushayar.com