Saleem Shahid

hai aarzu ki apna sarapa dikhai de

Saleem Shahid

hai aarzū ki apnā sarāpā dikhā.ī de
ā.īna dekhtā huuñ ki chehra dikhā.ī de
masrūf is qadar the ki sāvan guzar gayā
hasrat rahī ki abr barastā dikhā.ī de
ḳhāmosh huuñ ki bolnā tohmat hai is jagah
jab dekhnā nahīñ hai to phir kyā dikhā.ī de
sochā thā bas ki zehn meñ tasvīr ban ga.ī
ab aañkh kah rahī hai ki chehra dikhā.ī de
ab dhuul kī bajā.e dhuāñ hai fazāoñ meñ
ḳhilqat pukārtī hai ki sahrā dikhā.ī de
chehroñ kā rañg zard huā dhuup kī tarah
'shāhid' kahīñ to abr kā TukḌā dikhā.ī de
Top Urdushayar.com