chashm-e-ḳhāna maqām-e-dard kā hai
har nazāre pe naam dard kā hai
sarhad-e-jāñ talak qalam-rau dil
is se aage nizām dard kā hai
be-talab jur.at-e-huzūrī kyā
ashk adnā ġhulām dard kā hai
dam-ba-ḳhud tāb-e-dīd zo.am-e-suḳhan
ḳhāmushī se kalām dard kā hai
ruuh ke ġham-kade pe qahr-e-sukūt
asar-e-intiqām dard kā hai
ek dhaḌkan pe ek hashr uThā.eñ
chup jo haiñ ehtirām dard kā hai
bujh ga.iiñ vo ġhazāl āñkheñ bhī
jin se tābinda naam dard kā hai
ḳhushk āñkhoñ se ḳhushk dāman tak
ye safar gaam gaam dard kā hai
sar-e-mizhgān-e-surmagīñ larzāñ
tā.ir-e-zer-e-dām dard kā hai