baḳhshe na ga.e ek ko baḳhshā na kabhī
raste pe magar aa.ī ye duniyā na kabhī
lāchār ḳhud apnā hī qasīda likkhā
qābil koī mīzān pe utrā na kabhī
gardan bhī re.āyā kī jhukā.e rakkhī
uThne diyā ehsān kā palḌā na kabhī
bharte hī rahe suud meñ ik ik dhaḌkan
mansūḳh kiyā dard kā saudā na kabhī
ab kis ko pata baam pe chehra thā ki chāñd
koī sar uThā.e hue guzrā na kabhī
bānū-e-sabā ḳhāk-nashīñ par bhī nigāh
nāchīz pe karnā paḌe takiya na kabhī
parchhā.iyoñ kī jañg thī ḳhuuñ kā dariyā
ham-zād rajaz-ḳhvāñ huā aisā na kabhī
pheñk aao ḳhalāoñ meñ shikasta kashkol
is burj meñ Thahregā sitāra na kabhī
jab saaya bhī shīshe kī tarah TuuT gayā
dīvār ne dekhā ye tamāsha na kabhī