Iqbal Khusro Qadri

aankhon ke charagh warte hain

Iqbal Khusro Qadri

āñkhoñ ke charāġh vārte haiñ
aa terī nazar utārte haiñ
chullū bhar ḳhuun bhiik mil jaa.e
ham kāsa-e-sar pasārte haiñ
rakhte nahīñ saada safha-e-dil
nāḳhūn ke naqsh ubhārte haiñ
har raat difā-e-shahr-e-jāñ ko
haarī huī fauj utārte haiñ
mehnat se basā diyā hai sahrā
ab ghar kī taraf sidhārte haiñ
bante haiñ lakīreñ kaalī niilī
kāġhaz kī jabīñ siñghārte haiñ
rotā hai koī kisī ke ġham meñ
sab apne hī dukh bichārte haiñ
jaisī ki guzar rahī hai 'ḳhusrav'
kuchh is se alag guzārte haiñ
Top Urdushayar.com