band āñkhoñ meñ saarā tamāsha dekh rahā thā
rasta rasta merā rasta dekh rahā thā
kaalī raat aur kaale taare kaalā chandā
dhartī kā nā-bīnā laḌkā dekh rahā thā
TūTī-phūTī qabreñ dhuñdle dhuñdle katbe
har katbe meñ apnā chehra dekh rahā thā
miTTī dene vaale hāthoñ ko ye ḳhabar kyā
kis hasrat se zarra zarra dekh rahā thā
rag rag fart-e-dahshat se sūkhī jaatī thī
parchhā.īñ se ḳhuun ubaltā dekh rahā thā
sūkhe pattoñ par jaltī shabnam ke qatre
ThanDā sūraj sahmā sahmā dekh rahā thā
chupke se haijān uThā kar pyāsā qatra
tuġhyānī par aa.ī nadiyā dekh rahā thā
ehsāsāt kī TūTtī sarhad par maiñ 'ḳhusrav'
ḳhvāb se aage bhī jo kuchh thā dekh rahā thā