Krishna Mohan

dil ki rakhna dekh bhaal ai dil-bar-e-rangin-jamal

Krishna Mohan

Sialkot, Punjab, Pakistan

1922-2004
dil kī rakhnā dekh bhaal ai dil-bar-e-rañgīñ-jamāl
hai bahut nāzuk ye shīsha is meñ aa jaa.e na baal
ārzū-mandī meñ bhī mushkil-pasandī kā junūñ
dil usī ko chāhtā hai jis kā milnā hai muhāl
ik faqīr-e-be-navā ne mujh ko samjhāyā ye raaz
dard kī daulat ke aage hech haiñ maal o manāl
apnī kam-zarfī kā ġham hai aur koī ġham nahīñ
dil se terā ġham na sambhlā mujh ko hai bas ye malāl
itnī ḳhālī bhī nahīñ duniyā ḳhulūs-e-qalb se
aa hī jaate haiñ nazar ham aise muḳhlis ḳhaal ḳhaal
kirshn 'mohan' tab.a par taarī hai aisī be-hisī
ishq hai jī kā ziyāñ aur husn hai jaañ kā vabāl
Top Urdushayar.com