makāñ andar se ḳhasta ho gayā hai
aur is meñ ek rasta ho gayā hai
unheñ manzūr karnā hī paḌegā
arīzā dast-basta ho gayā hai
siyāsī rahnumāoñ kī badaulat
hamārā ḳhuun sastā ho gayā hai
kamān-e-jism hai maujūd lekin
shabāb ik tīr-e-jasta ho gayā hai
zubūñ hai is qadar duniyā kī hālat
hamārā ġham bhī ḳhasta ho gayā hai
shikasta aur paspā 'kirshn' mohan
hamārā faujī dasta ho gayā hai