vo kyā zindagī jis meñ joshish nahīñ
vo kyā aarzū jis meñ kāvish nahīñ
junūñ ā.ina-dār-e-soz-e-darūñ
junūñ par ḳhushī kī navāzish nahīñ
muqaddar kā marhūn-e-minnat hai ye
tirā martaba vaj.h-e-nāzish nahīñ
haqīqat kā akkās merā kalām
tasanño nahīñ is meñ koshish nahīñ
ye iz.hār-e-sāda hai jazbāt kā
kamāl-e-hunar kī numā.ish nahīñ
zamāne se huuñ be-niyāz is qadar
satā.ish kī bhī dil meñ ḳhvāhish nahīñ
ye kyā ho gayā tere maktūb meñ
ta.alluq kā rañg-e-nigārish nahīñ
use mil sake kāmyābī kahāñ
madad-gār jis kī sifārish nahīñ
vo be-bāk āzād-guftār hai
kabhī 'krishn' mohan ko bandish nahīñ