Krishna Mohan

zindagi ke aaKHiri lamhe KHushi se bhar gaya

Krishna Mohan

Sialkot, Punjab, Pakistan

1922-2004
zindagī ke āḳhirī lamhe ḳhushī se bhar gayā
ek din itnā hañsā vo hañste hañste mar gayā
bujh gayā ehsās taarī hai sukūt-e-be-hisī
dard kā daftar gayā sāmān-e-shor-o-shar gayā
shaḳhs-e-māmūlī mirā jo māl-e-vāfir chhoḌ kar
marte marte tohmateñ chand apne zimme dhar gayā
is qadar sanjīda thā vo daf.atan būḌhā huā
aur phir ik dopahar biivī ko beva kar gayā
dūrdarshan par tarab āgīñ tamāshā dekh kar
ḳhush huā vo is qadar maare ḳhushī ke mar gayā
dar haqīqat maut kā matlab to hai naql-e-makāñ
jis tarah kamre ke andar se koī bāhar gayā
kirshn 'mohan' ye bhī hai kaisā akelā-pan ki log
maut se Darte haiñ maiñ to zindagī se Dar gayā
Top Urdushayar.com