milā ek guuna sukūñ hameñ jo tumhāre hijr meñ ro liye
zarā bār-e-qalb subuk huā ka.ī daaġh dard ke dho liye
ho nashāt-e-dil ki malāl-e-dil hameñ pesh karnā jamāl-e-dil
kabhī hañs ke phuul khilā liye kabhī roke motī piro liye
hai rahīn ġham mirī justujū ye hai kaisā gulshan-e-rañg-o-bū
yahāñ kuchh gulo kī talāsh meñ ka.ī ḳhaar maiñ ne chubho liye
ka.ī umr dauḌte-bhāgte rahe yuuñ to shab ko bhī jāgte
kabhī thak ga.e to Thahar ga.e kabhī niiñd aa.ī to so liye
sabhī log mast-e-shu.ūr haiñ ki ḳhudī ke nashshe meñ chuur haiñ
koī ġham-shanās nahīñ yahāñ ġham-e-dil kisī pe na kholiye
ye unhīñ kā nuur hai jis meñ ham chale hausle se qadam qadam
jo sarishk ġham ke bahā liye jo diye vafā ke sañjo liye