bhaTak ke raah se ham sab ko aazmā aa.e
fareb de ga.e jitne bhī rahnumā aa.e
ham un ko haal dil-e-zār bhī sunā aa.e
Kamala-e-jur.at-e-iz.hār bhī dikhā aa.e
kareñ to kis se kareñ zikr-e-ḳhānā-vīrānī
ki ham to aag nasheman ko ḳhud lagā aa.e
ḳhayāl-e-vasl meñ rahte haiñ raat bhar bedār
tumhāre hijr ke māroñ ko niiñd kyā aa.e
rahīn-e-aish-o-tarab haiñ jo roz o shab un ko
pasand kaise mire ġham kā mājrā aa.e
kabhī hameñ bhī mayassar ho rūThnā un se
kabhī hamāre bhī dil meñ ye hausla aa.e
har ik se pūchhte haiñ haal kirshn 'mohan' kā
jise adā-e-sitam se vo ḳhud miTā aa.e