ham to ab jaatī ruteñ haiñ ham se ye iġhmāz kyuuñ
jurm kyā ham ne kiyā hai aap haiñ nārāz kyuuñ
māl-o-zar se bahra-e-vāfir na denā thā agar
ai ḳhudā tū ne diyā mujh ko dil-e-fayyāz kyuuñ
rishta-e-zar rishta-e-ḳhūñ se hai baḌh kar mo'tabar
varna chāhat ke liye qarzā bane miqrāz kyuuñ
ḳhesh-bīnī jab ki is kā kesh-e-kam-andesh thā
dostī kā paas kartā banda-e-aġhrāz kyuuñ
kyā na.ī tahzīb hai takzīb-e-aqdār-e-salīm
shahr meñ phaile hue haiñ jins ke amrāz kyuuñ
lutf-andoz-e-riyāz-e-dahr kyuuñ hote nahīñ
dāvarā kam-zarf hote haiñ tire martāz kyuuñ
kuchh haqā.eq ko agar maiñ ne kiyā hai be-naqāb
ho ga.e nārāz mujh se sher ke nabbāz kyuuñ
pūchhte haiñ de ke mujh ko dost-dārī kā fareb
'kirshn'-mohan dostoñ se is qadar e'rāz kyuuñ