Amir Ameer

wo bhi ab yaad karen kis ko manane nikle

Amir Ameer

Rahim Yar Khan, Punjab, Pakistan

1987
vo bhī ab yaad kareñ kis ko manāne nikle
ham bhī yūñhī to na maane the siyāne nikle
maiñ ne mahsūs kiyā jab bhī ki ghar se niklā
aur bhī log ka.ī kar ke bahāne nikle
aaj kī baat pe maiñ hañstā rahā hañstā rahā
choT taaza jo lagī dard purāne nikle
ek shatranj-numā zindagī ke ḳhānoñ meñ
aise ham shaah jo pyādoñ ke nishāne nikle
tū ne jis shaḳhs ko maarā thā samajh kar kāfir
us kī muTThī se to tasbīh ke daane nikle
kaash ho aaj kuchh aisā vo mirā mālik-e-dil
mere dil se hī mire dil ko churāne nikle
aap kā dard in āñkhoñ se chhalaktā kaise
mere aañsū to piyāzoñ ke bahāne nikle
maiñ samajhtā thā tujhe ek zamāne kā magar
tere andar to ka.ī aur zamāne nikle
lāpata aaj talak qāfile saare haiñ 'amīr'
jo tire pyaar meñ kho kar tujhe paane nikle
Top Urdushayar.com