Krishna Mohan

koi ummid na bar aai shakebai ki

Krishna Mohan

Sialkot, Punjab, Pakistan

1922-2004
koī ummīd na bar aa.ī shakebā.ī kī
is ne bātoñ meñ bahut hāshiya-ārā.ī kī
ishq din-rāt rahā kaif-o-tarab meñ sarshār
husn ne saltanat-e-ishq pe dārā.ī kī
na milā par na milā apne masā.il kā hal
āstānoñ pe bahut ham ne jabīñ-sā.ī kī
aah ai soz-e-darūñ mere junūñ se ab tak
manzileñ sar na huiiñ bādiya-paimā.ī kī
soch kā loch kabhī un ko mayassar na huā
ba.az logoñ ne faqat qāfiya-paimā.ī kī
kār-e-bekār huī bus meñ safar kartā huuñ
ye bhī ik sūrat-e-be-kaif hai mahñgā.ī kī
sher kahtā rahūñ bahtā rahūñ apnī rau meñ
chheḌ chaltī rahe ehsās kī purvā.ī kī
ek sher aur sunā de ki zamāne bhar meñ
dhuum hai tere taġhazzul kī tavānā.ī kī
tañg-zarfī hai mire vahm kā Thahrā paanī
Thahre paanī pe jamī kaa.ī hai ḳhud-rā.ī kī
vā dareġhā ki zarā qadr na kī duniyā ne
'krishn-mohan' tire irfān kī gahrā.ī kī
Top Urdushayar.com