Krishna Mohan

nala-e-subh ke baghair giriya-e-sham ke baghair

Krishna Mohan

Sialkot, Punjab, Pakistan

1922-2004
nāla-e-sub.h ke baġhair giriya-e-shām ke baġhair
hotā nahīñ visāl-e-yār soz-e-davām ke baġhair
tū ne agar kiyā na yaad shaq rahegā nā-murād
kaise kaTegī zindagī tere payām ke baġhair
hai ye mirā hī hausla kartā huuñ roz sāmnā
gardish-e-sub.h-o-shām kā gardish-e-jām ke baġhair
arsa huā vo fitnagar aayā nahīñ kabhī idhar
suunī paḌī hai rah-guzar husn-e-ḳhirām ke baġhair
kaif-e-nashāt dam-ba-dam chūmtā hai mire qadam
chaltā nahīñ huuñ ek gaam aap ke naam ke baġhair
jab bhī mile vo nā-gahāñ jhuum uThe haiñ qalb o jaañ
milne meñ lutf hai agar milnā ho kaam ke baġhair
mere junūñ ke faiz se garmi-e-shauq aa ga.ī
sard thī mahfil-e-tarab mere kalām ke baġhair
Top Urdushayar.com