Sabir Zafar

main ek hath teri maut se mila aaya

Sabir Zafar

1949
maiñ ek haath tirī maut se milā aayā
tire sirhāne agarbattiyāñ jalā aayā
mahakte baaġh sā ik ḳhāndān ujaaḌ diyā
ajal ke haath meñ kyā phuul ke sivā aayā
tirā ḳhayāl na aayā so terī furqat meñ
maiñ ro chukā to mire dil ko sabr sā aayā
misāl-e-kunj-e-qafas kuchh jagah thī tere qarīb
maiñ apne naam kī taḳhtī vahāñ lagā aayā
makān apnī jagah se haTā huā thā 'zafar'
na jaane kaun sā lamha gurez-pā aayā
Top Urdushayar.com