maiñ jis kā muntazir huuñ vo manzar pukār le
shāyad nikal ke jism se bāhar pukār le
maiñ le rahā huuñ jā.eza har ek lahar kā
kyā jaane kab ye mujh ko samundar pukār le
sadiyoñ ke darmiyān huuñ maiñ bhī to ik sadī
ik baar mujh ko apnā samajh kar pukār le
maiñ phir rahā huuñ shahr meñ saḌkoñ pe ġhāliban
āvāz de ke mujh ko mirā ghar pukār le
shīshe kī tarah vaqt ke hāthoñ meñ huuñ hanūz
kab jaane hādsāt kā patthar pukār le
vo lamha jis kī zehn-e-'sabā' ko talāsh hai
rone ke ehtimām meñ hañs kar pukār le