ba.ad muddat ke khulā jauhar-e-nāyāb mirā
jo añdhere meñ thā raushan huā vo baab mirā
maiñ zamīñ vāloñ kī āñkhoñ meñ bharā huuñ lekin
āsmāñ vāloñ ne dekhā hai koī ḳhvāb mirā
itr-afshānī-e-qurbat se thī ma.amūr fazā
jazba-e-qatra-e-ḳhūñ kab huā sairāb mirā
kitne dariyāoñ pe thā kaalī ghaTāoñ kā julūs
ek ik buuñd kā pyāsā rahā tālāb mirā
mutma.in ho ga.e ahbāb mire ḳhush hai zamīñ
ik na.ī samt jo beḌā huā ġharqāb mirā
sab ke hoñToñ pe gulāboñ kā tabassum thā 'sabā'
mutma.in maiñ huuñ ki har zaḳhm hai shādāb mirā