mirā vajūd hai ik naqsh-e-āb kī sūrat
shikast jis kā muqaddar hai ḳhvāb kī sūrat
bikhar na jā.ūñ fazā meñ varaq varaq ho kar
havā kī zad meñ huuñ kohna kitāb kī sūrat
tanāv had se baḌhegā to TuuT jā.eñge
diloñ ke rābte tār-e-rabāb kī sūrat
kisī bhī lamhe nikal jā.ūñgā havā kī tarah
mirā badan hai hisār-e-habāb kī sūrat
darūn-e-sīna koī chīḳhtā hai shām-o-sahar
ye qahqahe to haiñ ruḳh par naqāb kī sūrat
ġhurūr-e-vaqt se nashsha huā sivā 'sābir'
mirī anā thī purānī sharāb kī sūrat