har ek shaḳhs ḳhafā mujh se anjuman meñ thā
ki mere lab pe vahī thā jo mere man meñ thā
kasak uThī thī kuchh aisī ki chīḳh chīḳh paḌūñ
rahā maiñ chup hī ki bahroñ kī anjuman meñ thā
ulajh ke rah ga.ī jaame kī dilkashī meñ nazar
use kisī ne na dekhā jo pairahan meñ thā
kabhī maiñ dasht meñ āvāra ik bagūlā sā
kabhī maiñ nik.hat-e-gul kī tarah chaman meñ thā
maiñ us ko qatl na kartā to ḳhud-kushī kartā
vo ik harīf kī sūrat mire badan meñ thā
usī ko mere shab-o-roz par muhīt na kar
vo ek lamha-e-kamzor jo gahan meñ thā
mirī sadā bhī na mujh ko sunā.ī dī 'sābir'
kuchh aisā shor bapā sahn-e-anjuman meñ thā