sīm-o-zar chāhe na almās-o-guhar māñge hai
dil to darvesh hai ulfat kī nazar māñge hai
jab ġhazal mujh se koī misra-e-tar māñge hai
kāvish-e-fikr mirā ḳhūn-e-jigar māñge hai
dil ko hai āfiyat-e-anjuman-e-gul kī talab
zindagī dasht-e-muġhīlāñ kā safar māñge hai
mujh ko le jaa.e jo anjāne dayāroñ kī taraf
merī āvāra-mizājī vo Dagar māñge hai
apne māhaul se har shaḳhs hai mā.il-ba-farār
koī bezār hai ghar se koī ghar māñge hai
the jo rañgīnī-e-dāmān-e-nazar kā sāmāñ
dīda-e-shauq vahī shām-o-sahar māñge hai
kal bhī jāñ-bāz hī karte the nigah-dārī-e-haq
ye junūñ aaj bhī nazrāna-e-sar māñge hai
ho jahāñ aib-shumārī hī parakh kā mafhūm
sābir us shahr meñ kyā dād-e-hunar māñge hai