Nau Bahar Sabir

bund pani ki hun thoDi si hawa hai mujh mein

Nau Bahar Sabir

Hisar, Haryana, India

1947
buuñd paanī kī huuñ thoḌī sī havā hai mujh meñ
is bizā.at pe bhī kyā turfa anā hai mujh meñ
ye jo ik hashr shab-o-roz bapā hai mujh meñ
ho na ho aur bhī kuchh mere sivā hai mujh meñ
safha-e-dahr pe ik raaz kī tahrīr huuñ maiñ
har koī paḌh nahīñ saktā jo likhā hai mujh meñ
kabhī shabnam kī latāfat kabhī sho.ale kī lapak
lamha lamha ye badaltā huā kyā hai mujh meñ
shahr kā shahr ho jab arsa-e-mahshar kī tarah
kaun suntā hai jo kohrām machā hai mujh meñ
toḌ kar saaz ko sharminda-e-mizrāb na kar
ab na jhankār hai koī na sadā hai mujh meñ
vaqt ne kar diyā 'sābir' mujhe sahrā-ba-kanār
ik zamāne meñ samundar bhī bahā hai mujh meñ
Top Urdushayar.com