zulmat-e-shab se ulajhnā hai sahar hone tak
sar ko Takrānā hai dīvār meñ dar hone tak
ab to us phuul kī nik.hat se mahaktī hai hayāt
zaḳhm-e-dil zaḳhm thā tahzīb-e-nazar hone tak
dil hī jalne do shab-e-ġham jo nahīñ koī charāġh
kuchh ujālā to rahe ghar meñ sahar hone tak