Nau Bahar Sabir

hayat kya hai maal-e-hayat kya hoga

Nau Bahar Sabir

Hisar, Haryana, India

1947
hayāt kyā hai ma.āl-e-hayāt kyā hogā
tū is pe ġhaur karegā to ġham-zada hogā
sambhal sambhal ke jo yuuñ pattharoñ pe chaltā hai
zarūr us kī hifāzat meñ aa.ina hogā
jo kah rahā ki niiñd uḌ ga.ī hai āñkhoñ se
ye shaḳhs pahle bahut ḳhvāb dekhtā hogā
sunā kiyā jo mirā haal is tavajjoh se
vo ajnabī bhī kisī ġham meñ mubtalā hogā
kisī ke rabt-o-ta.ashshuq pe itnā naaz na kar
hinā kā rañg hai do roz meñ havā hogā
javān hotā to pāgal havā se laḌtā bhī
daraḳht thā vo purānā ukhaḌ gayā hogā
ye ḳhisht ḳhisht bikhartā huā khañDar 'sābir'
kabhī na jaane ye kis kā mahal-sarā hogā
Top Urdushayar.com