duur ke jalvoñ kī shādābī kā dil-dāda na ho
tū jise dariyā samajhtā hai kahīñ sahrā na ho
aa.ine ko ek muddat ho ga.ī dekhe hue
vo jabīn-e-shauq jis par soch kā saaya na ho
vo bhī mere paas se guzrā usī andāz se
maiñ ne bhī zāhir kiyā jaise use dekhā na ho
is taraf kyā turfa aalam hai ye khul saktā nahīñ
aadmī kā qad agar dīvār se ūñchā na ho
maslahat chāhe rahūñ Daale tasanño kā naqāb
dostī kī maañg chehre par koī parda na ho
dhuup se ghabrā ke baiThā to hai lekin dekh le
ye kisī girtī huī dīvār kā saaya na ho
qahqahoñ kī chhāñv meñ ik shaḳhs baiThā hai udaas
vo bhī merī hī tarah is bhiiḌ meñ tanhā na ho
'sābir' in mānūs galiyoñ se to dil uktā gayā
aa chaleñ is shahr meñ pahle jaise dekhā na ho