Nau Bahar Sabir

dur tha sahil bahut dariya bhi tughyani mein tha

Nau Bahar Sabir

Hisar, Haryana, India

1947
duur thā sāhil bahut dariyā bhī tuġhyānī meñ thā
ik shikasta-nāv sā maiñ tez-rau paanī meñ thā
mujh se milne koī aatā bhī to miltā kis tarah
maiñ to ghar meñ band ḳhud apnī nigahbānī meñ thā
ādamiyat ke evaz us ne ḳharīdā hai libās
aadmī thā aadmī jab ahd-e-uryānī meñ thā
hai club ke rañg-o-rāmish meñ bhī mere saath saath
ek sannāTā jo dil kī ḳhāna-vīrānī meñ thā
thā vo mere ḳhair-maqdam ko ba-zāhir pesh pesh
aks-e-dīgar lekin us kī ḳhanda-peshānī meñ thā
maqtal-e-shām-o-sahar meñ kyā panaptī zindagī
shabnamistāñ hoñkte sho.aloñ kī nigarānī meñ thā
mausam-e-gul bhī junūñ-parvar thā lekin beshtar
maslahat kā haath merī chāk-dāmānī meñ thā
'sābir' us manzar kī movie le rahā thā ek shaḳhs
shāḳh par ik āshiyāñ sho.aloñ kī tābānī meñ thā
Top Urdushayar.com