bādal ambar pe na dhartī pe shajar hai baabā
zindagī dhuup meñ sahrā kā safar hai baabā
tum kahāñ aa ga.e shīshoñ kī tamannā le kar
ye to ik sañg-faroshoñ kā nagar hai baabā
ham haiñ qaid-e-dar-o-dīvār se āzād hameñ
jis jagah raat guzārī vahī ghar hai baabā
man ho darvesh to phir tan pe qabā ho ki abā
jog baanā nahīñ andāz-e-nazar hai baabā
batn har sañg meñ dekhe jo koī paikar-e-nāz
kis ko hāsil vo sanam-sāz-nazar hai baabā
soch kar dasht-e-tamannā meñ qadam rakh 'sābir'
is marūthal meñ ba-har-gām ḳhatar hai baabā