Nau Bahar Sabir

kanTe ko phul sang ko gauhar kaha gaya

Nau Bahar Sabir

Hisar, Haryana, India

1947
kāñTe ko phuul sañg ko gauhar kahā gayā
is shahr meñ gadā ko sikandar kahā gayā
be-chehra log husn kā me.aar ban ga.e
parchhā.iyoñ ko nuur kā paikar kahā gayā
jallād ko masīhā-nafas kī sanad milī
insān-dushmanoñ ko payambar kahā gayā
kuchh jis ke paas nīsh-o-namak ke sivā na thā
chāk-e-jigar kā us ko rafū-gar kahā gayā
kyā shai hai maslahat bhī shab-e-tīra-fām ko
dānishvaroñ meñ sub.h-e-munavvar kahā gayā
gūñgā hai kar rahā hai ishāroñ meñ bāt-chīt
'sābir' ko kis binā pe suḳhnavar kahā gayā
Top Urdushayar.com