TūTtā huuñ kabhī juḌtā huuñ maiñ
jāgtī aañkh kā sapnā huuñ maiñ
apnī sūrat ko tarastā huuñ maiñ
aa.ina DhūñDne niklā huuñ maiñ
kabhī pinhāñ kabhī paidā huuñ maiñ
kis fusūñ-gar kā tamāshā huuñ maiñ
ḳhalish-e-ḳhār kabhī nik.hat-e-gul
har-nafas rañg badaltā huuñ maiñ
dekhiye kis kī nazar paḌtī hai
kab se showcase meñ rakkhā huuñ maiñ
koī tiryāk nahīñ merā ilaaj
kushta-e-zahr-e-tamannā huuñ maiñ
kabhī uThte haiñ mire daam bahut
kabhī be-mol bhī mahñgā huuñ maiñ
koī pahchāne to kyā pahchāne
kabhī sūrat kabhī saayā huuñ maiñ
ātish-e-ġham kī tamāzat ke nisār
jitnā taptā huuñ nikhartā huuñ maiñ
koī jaada hai na manzil 'sābir'
apne hī gird bhaTaktā huuñ maiñ