kabhī dahaktī kabhī mahaktī kabhī machaltī aa.ī dhuup
har mausam meñ āñgan āñgan ruup badal kar chhā.ī dhuup
us ko zaḳhm mile duniyā meñ jis ne māñge taaza phuul
jis ne chāhī chhāñv kī chhatrī us ke sar par chhā.ī dhuup
jaane apnā ruup dikhā kar kis ne parda taan liyā
kis kī khoj meñ āvāra hai añgnā.ī añgnā.ī dhuup
chaḌhte sūraj kī kirneñ haiñ daulat izzat shohrat shaan
āḳhir āḳhir har dīvār se yaaro Dhaltī aa.ī dhuup
dānish kī afzūnī akasr kartī hai dil ko gumrāh
tez ziyāda ho to chhīne āñkhoñ kī bīnā.ī dhuup
māthe par sindūr kī bindiyā thālī meñ kuchh surḳh gulāb
nuur ke taḌke uushā taT par puujā karne aa.ī dhuup
kaun baḌhā.e pyaar kī peñgeñ us naT-khaT banjāran se
phirne ko to nagrī nagrī phirtī hai harjā.ī dhuup
janam janam ke añdhiyāre kā jaadū chhan meñ TuuT gayā
'sābir' aaj mirī kuTiyā meñ chupke se dar aa.ī dhuup