jab suḳhan mauj-e-taḳhayyul se ravānī māñge
mujh se har lafz na.ī rūh-e-ma.ānī māñge
dil vo dīvāna ki dariyā se tū pyāsā lauTe
sāmne mauj-e-sarāb aa.e to paanī māñge
hāfiza zehn kā dar band kiye baiThā hai
dil bahalne ko koī yaad purānī māñge
husn sar-tā-ba-qadam turfa-adā.ī chāhe
ishq tā-hadd-e-yaqīñ sāda-gumānī māñge
aa.ina dekhūñ to 'sābir' ye gumāñ hotā hai
aks mujh se vo ḳhat-e-ḳhāl-e-javānī māñge