kuchh bhī kaho sab apnī anāoñ pe aḌe haiñ
sab log yahāñ sūrat-e-asnām khaḌe haiñ
jo paar utartā gayā hotā gayā kam-tar
ham dūri-e-manzil ke tufail aaj baḌe haiñ
ham ko na kaho qāne-e-hālāt ki ham log
zindānī-e-dahlīz ke mansab pe khaḌe haiñ
ai vasl-nasībo! hameñ muḌ kar bhī na dekhā
ham qufl ke mānind masā.ib pe paḌe haiñ
tārīḳh-e-zamīñ baḳht-kushā hone lagī to
khultā gayā ham vaqt se be-kār laḌe haiñ
ujlat ke alaav meñ kiye faisle 'ābid'
ab soch kī barfānī khaḌā.ūñ pe khaḌe haiñ