ghar se be-parda parī-rū jo nikal jaate haiñ
dekhne vāloñ ke īmān badal jaate haiñ
āsmāñ kartā hai jo chashm-e-ināyat apnī
rañg patjhaḌ ke bahāroñ meñ badal jaate haiñ
apnī nazroñ se jo girte haiñ sambhalte hī nahīñ
Thokareñ khā ke to raste meñ sambhal jaate haiñ
amn kī shāḳh pe baiThe hue panchhī saare
shar-pasandoñ kī sharārat se dahal jaate haiñ
zahr bhar detā hai lahje meñ sulagtā mausam
guftugū karne ke andāz badal jaate haiñ
gher letā hai hameñ abr tirī yādoñ kā
ham charāġhoñ kī tarah shaam se jal jaate haiñ
hasrateñ ḳhaak jo ho jaatī haiñ ai 'shād' yahāñ
peT kī aag meñ īmān bhī jal jaate haiñ