Shabbeer Ahmad Shad

zarurat hai kisi bhi KHwab ki tabir se pahle

Shabbeer Ahmad Shad

Bhiwandi, Maharashtra, India

1951

zarūrat hai kisī bhī ḳhvāb ta.abīr se pahle

banā lo zehn meñ naqsha koī ta.amīr se pahle

azal se āshnā hai dil tire jalvoñ se ai hamdam

tasavvur meñ tirī tasvīr thī tasvīr se pahle

baḌī koshish kare insān hāsil kuchh nahīñ hotā

milā hai vaqt se pahle na kuchh taqdīr se pahle

nasheman barq zad par banānā chāhtā huuñ maiñ

tasalsul hai mirā qaa.em har ik ta.amīr se pahle

na do zahmat mire mahbūb nāzuk haath ko apne

maiñ zaḳhmī huuñ adā-e-nāz shamshīr se pahle

yahāñ Duubī huī thī ādamiyat ghup añdheroñ meñ

jahālat añdherā thā tirī tanvīr se pahle

kisī ke naqsh-e-pā ko ham banā leñ rahnumā apnā

koī ġhālib na ho paayā janāb-e-'mīr' se pahle

zabān-e-'shād' par aatā hai terā naam ai ḳhāliq

har ik āġhāz se pahle har ik tahrīr se pahle

Top Urdushayar.com